Wednesday, 2 September 2015

Banjaara Song Lyrics From Ek Villain Movie

Song Name                :      Banjaara
Movie Name               :      Ek Villain
Singer                        :      Mohd. Irfan
Lyrics                         :      Mithoon
                                   
Jise zindagi dhoondh rahi hai
kya ye woh makaam mera hai
yahaan chain se bas ruk jaaun
kyun dil ye mujhe kehta hai
jazbaat naye se mile hain
jaane kya asar ye huaa hai
ik aas mili phir mujhko
jo qubool kisi ne kiya hai.......

Haan...kisi shaayar ki ghazal
jo de rooh ko sukoon ke pal
koi mujhko yun mila hai
jaise banjaare ko ghar
may mausam ki sehar
yaa sard mein dopahar
koi mujhko yun mila hai
jaise banjare ko ghar
Ho....hm...........

Jaise koi kinaara
deta ho sahaara
mujhe wo mila kisi mod par
koi raat ka taara
karta..... ho ujaala
waise hi roshan kare woh shehar...........

Dard mere woh bhula hi gayaa
kuch aisa asar huaa
jeena mujhe phir se woh sikha raha
Hm..... Jaise baarish kar de tar
yaa marham dard par
koi mujhko yun mila hai
jaise banjare ko ghar
may mausam ki sehar
yaa sard mein dopahar
koi mujhko yun mila hai
jaise banjaare ko ghar...........

Muskaata yeh chehra
deta hai jo pehraa
jaane chhupata kya dil ka samandar
auron ko toh hardam saaya deta hai
woh dhoop mein hai khada khud magar
chot lagi hai usey
phir kyun mehsoos mujhe ho raha hai
dil tu bata de kya hai iraada tera..........

Main parinda besabar
tha uda jo darbadar
koi mujhko yun mila hai
jaise banjarey ko ghar
may mausam ki sehar
yaa sard mein dopahar
koi mujhko yun mila hai
jaise banjarey ko ghar
jaise banjarey ko ghar
jaise banjarey ko ghar
jaise banjarey ko ghar................!!

0 comments:

Post a Comment