Tuesday, 4 August 2015

Zabaan Jale Hai Song Lyrics From Dedh Ishqiya Movie

Song Name       :     Zabaan Jale Hai  
Movie Name     :     Dedh Ishqiya
Singer               :     Rahat Fateh Ali Khan
Lyrics               :     Gulzar
                       
Na boloon main to kaleja phoonke..
Na boloon main to kaleja phoonke..
Jo bol doon to zabaan jale hai!

Sulag na jaave agar sune woh!
Sulag na jaave agar sune woh!
Jo baat meri zabaan tale hai
Na boloon main to kaleja phoonke
Jo bol doon toh zubaan jale hai

Lage to phir yun ke rog laage
Na saans aave... na saans jaave...

Lage to phir yun ke rog laage
Na saans aave... na saans jaave
Yeh ishq hai namuraad aisa!
Yeh ishq hai namuraad aisa!
Ke jaan leve tabhi tale hai

Humaari haalat pe kitta rove hai!
Aasman bhi tu dekh leejo...

Humaari haalat pe kitta rove hai!
Aasman bhi tu dekh leejo
Ke surkh ho jaavein uski aankhein
Ke surkh ho jaavein uski aankhein bhi
Jaise jaise yeh din dhale hai

Na boloon main to kaleja phoonke
Jo bol doon to jabaan jale hai..........!!






0 comments:

Post a Comment